Thursday 28 June 2012

"Lawaris Zindgi"









Lawaris Zindgi
Subah mere sath chali thi
Waha , Jaha koi apna hoga
Aisi Zindgi ko kon apna samjhega??

Aadhi raat tak karwat badalti rahi
Sochti rahi, khilona ke jaise tut.ta hai kyu??
Bachpan me khilona tuta to kitna roya tha,
Dharohar ke jaise sahejkar rakha hai
Ab bache 2-4 tute-fute yaadon ko

Subah jab chal parenge 
Baichen sanso ko sametkar
Fir talash karenge ek nayi zindgi
Jaha raat Rain Basera me nahi gujregi.

Raat ko jab lautenge
Takiya se lipat kar khud ko manayenge
Rundhe gale se puchenge
Ae chand,dekh ab sone de,
Kab tak nind tere piche chalegi??
Tu aa zamin par,fir chal sath mere,
Tu bhi thak jayega aur jab bhukhe pet nind nahi aayegi,
Tujhe bhi subah hone ka entejar rahega.

Mujhe pata hai tu nahi aayega
Muskurayega aur kahega

Tu insan hai,dhoka hai 
Mere sath to hazaro tare hai.

Pathar ke bhagwan mile
Pathar ka insan mila
Ram ke raho par Ravan ban gya
Ab kitne chehre hai insan ke?

Fir subah huyi,dekha to gila takiya bhi sukh chuka tha
Pichali raat ke bato me kya rakha hai??
Lawarish zindgi tu kab samjhega
Suraj bhi kahi na kahi bhujega.

1 comment:

  1. Hamesha aese bachcho ki help kare jinka iss duniya me koi nahi hota...... ye maasoom 2 wkt ki roti k b mahtaz hote h...... so please....... help their.........
    agr hm kuch paise inke liye b kharch kar denge to hm garib nahi ho jayenge.......

    ReplyDelete