Sunday 28 October 2012

"Agle janam mohe bitiya na kijo"



Sunoge ek kavita ya sunau tujhe ek kahani
Dekh lo duniya ki riwayat ya samjhe ese ghar ki kahani

---------------------------------------------------------------------

Ek gaun me masum si chanchal ladki thi
5 waras ki hone hi chali thi
School jane ki taiyari kar rahi thi
Mammy chooti bandh rahi thi
Mammy ki pallu se chipak jati thi
Jab pahli bar school gayi thi
Sayad pencil le jana bhul gyi thi
Tiffin me chocolate le jati thi
Pink dress pahne thi
Aankho me kajal sajayi thi
Chidiya ke jaise fudakti thi
Gili mitti par fisalti thi
Kagaj ke naw banati thi
Gude gudiya ki vivah rachati thi
Mammy se darti thi
Daddy ki wo angel thi

-----------------------------------------------------------------------

Ab ghar se dur ho chali thi
Dur kisi sahar me MBA karne gayi thi
Kagaj par kuch sandesh likhti thi
Khidki ke bahar fekti thi
Shaam 5 bje coffee shop me wait karti thi
Narajgi se bar bar ghadi dekhti thi
Wo aa gya to najre chura li thi
Fir jamkar fatkar lagayi thi

-----------------------------------------------------------------------

Degree milte hi ghar laut gayi thi
Rote rote pyar ki bat batayi thi
Ghar me jab shaadi ki charcha hone lagi thi
Us ladke se pyar kar baithi thi
Ghar se muh mod chuki thi

-----------------------------------------------------------------------

Ab rut aa gyi thi kahi dur thikana tha
Sahnayi baj rahi thi,Dusre aangan me jana tha
Shaam ko movie,Raat ko candle light dinner hota tha
List banati thi,Husban bazar se saman lata tha
Bahut khush rahti thi,Swarg ke sunder ghar mila tha
Sab ne mithayi khayi jab naya mehman aane wala tha

-----------------------------------------------------------------------

Sach hi kahi thi mammy ne ek baat ko samjh lo
khusiya chaar dino ki chandni hoti hai
Ab apne ho log naraj ho gye hai
Jab se beti aane ki khabar mili hai

-----------------------------------------------------------------------

Na jane aaj kyu purane din yaad aa gye
Jab TV par "Satyamev Jayte" dekha hai
Ek bachi ki khamosh cheekhe sunayi dene lagi
Ek galti ka ahsaas aaj fir huaa hai
Bhari kadmo se kamre me gayi
Jaha doctor ka report almari me rakha hai
"Abortion Sussessful" padhkar aaj fir sadma laga hai
Khada hone ki himmat nahi,Aansu ruk na rahi
Ek ladki hone ka kitna bada jurmana laga hai


Monday 8 October 2012

"Hamse Pucha"



Karwat badalte raat ne hamse pucha
Chand ab badal me chup gya,usme kya dekhte ho

Miane ishara karte huye bola,Jo chand mera hota
To bhala tum sukun se nahi gujarti?

Dhundhli si chadar failaye shaam ne hamse pucha
Chidiya bhi ghosle me laut rahe,tum kiska intejar karte ho

Maine sard lahze me bola, Jo nazara hasin hota
To bhala meri tanhayi mujhse guftgu kyu karti?

Kuch sukhe huye gulab ne hamse pucha
Ab to khusbu bhi nahi aati, Fir kyu haule se chute ho

Maine rundhe gale se bola,Jo hoti taza khili
To bhala meri duniya khubsurat nahi hoti?

Andhere me chamakte jugnu ne hamse pucha
Meri roshni se mandil ka diya bhi nahi jalta fir tum kyu jalte ho

Maine berukhi se etana hi kaha,Jo mili hoti roshni mujhe
To bhala zindgi ki har subah raat kyu lagti?

Garajte baraste kajal ke jaise badal ne hamse pucha
Mai to zamin ke liye barasta hun, Tum kiske liye rote ho

Maine bhinge palke chupa kar jabab diya,Jo hota ab ke baras wo sawan
To bhala mere aansu khidki par kyu bikhri hoti?

Kuch purane dhul se lipti khat ne hamse pucha
Kuch wade,nek irade aur purani wafa me kya dhundhte ho

Maine khamoshi se jabab diya,Jo sach hoti bate fir khamoshi ni hoti
To bhala wo kagaj rakh me badali kyu hoti?

Sar se pawn tak dhaka kafan ne hamse pucha
Aisa bhi kya gila thi zindgi se,Apne se kyu bichar aaye ho

Maine ab kya bolna tha, Kisi se kyu shikayat karna tha
To bhala dokhaj kyu milti,Zannat ko dundhti thi zindgi?


 

Tuesday 25 September 2012

"Hamse Bichda Hai Koi"


Kalam Kaha rukti hai,Tera zikar ab kagaj par nahi sabhalta
Kano kan khabad udi hai,Ishq me giraftar hai koi

Badi der tak dekhta raha,Palke jhapkana bhi bhul gya
Jab gali suna suna sa laga tab pata chala hamse bichda hai koi

Zamane bhar ki bate karta tha,Subah se sham karta tha
Kayi dino se ajnabi ban baitha to pata chala hamse bewafa hua hai koi

Khud se sikayat karna aur kabhi dono hatho se chehra chupa kar sisakna
In duriyon ke darmiyan kaise kaise imtehan deta hai koi

Jare ki dhup me chatt par use sweater bunte dekhna
Usi hatho ke karigari se lipatkar raat bitata hai koi

Na churiyo ke khankne na koyal ki kukne ki awaj aati hai ab
Pipal ka ped khamosh hai,Yha shikari tha koi

Pani me chand dekhna fir pattar phenk kar dhundhla kar dena
Khud me hi banta hai koi,Khud me hi bikhrta hai koi


Monday 27 August 2012

"Acha Nahi Lagta"



Ejajat do to mai khud ko badal du
Ajnabi ke jaise pesh aana acha nahi lagta

Mohabbat bhi gumrah hoti hai wafa ke raste par
Har mod par bicharna acha ni lagta

Aarju-minnate se bat banti hai to ban jaye
Choti choti bato par talluk tutana acha nahi lagta

Ab nahi hai mafuj dil me rasm-E-wafa
Jamane se sauda karna acha nahi lagta

Barkhast karo jo bat dil nahi samjhta
Bat jo dil par lage to acha nahi lagta

Jab hosh me aao to dekhna khud ko
Khud par gunah karna acha nahi lagta

Yakeen hota to uske hawale ni kar diya hota
Sukun se nipat jaye zindgi, kise acha nahi lagta

Kahte log mitti ke bane aur mitti me hi mil jana hai
Fir sine me pathar dil ka hona acha nahi lagta

Aawaj diya tha,do pal rukte huye bs etna kaha tha
Alwida, ye sabd aaj bhi acha nahi lagta

Dundhta hu tujhe ki tujh jaisa bhi koi mil jaye
Mohabbat ke es mukam par kisi aur se judna acha nahi lagta

"Rakh Du"





Labo par ibadat likh du
Rabb ki rehmat me aasiyana rakh du

Pairon ke nche kaynat rakh du
Sar par dono jahan rakh du

Jakhmo par marham laga du
Sabke dilo me mohabbat rakh du

Aankho se aansu nichor du
Chehre par khilta fhool rakh du

Bistar par ninde bicha du
Gullak me sapne rakh du

Apne tahjeeb ki hifajat kar du
Mulk ki ijjat gireban par rakh du

Aangan me tulsi laga du
Chatt par chand ki roshni rakh du

Tali me do roti rakh du
Banzar zamin par sawan rakh du

Uske kadmo me payal rakh du
Maa ke kadmo me sar rakh du

Bacho ke chehre par masumiyat rakh du
Anguli pakar kar chalna sikha du

Ghar ki dahleej par bachpan rakh du
Mulk ki sarhad par jawani rakh du

Thursday 28 June 2012

"Lawaris Zindgi"









Lawaris Zindgi
Subah mere sath chali thi
Waha , Jaha koi apna hoga
Aisi Zindgi ko kon apna samjhega??

Aadhi raat tak karwat badalti rahi
Sochti rahi, khilona ke jaise tut.ta hai kyu??
Bachpan me khilona tuta to kitna roya tha,
Dharohar ke jaise sahejkar rakha hai
Ab bache 2-4 tute-fute yaadon ko

Subah jab chal parenge 
Baichen sanso ko sametkar
Fir talash karenge ek nayi zindgi
Jaha raat Rain Basera me nahi gujregi.

Raat ko jab lautenge
Takiya se lipat kar khud ko manayenge
Rundhe gale se puchenge
Ae chand,dekh ab sone de,
Kab tak nind tere piche chalegi??
Tu aa zamin par,fir chal sath mere,
Tu bhi thak jayega aur jab bhukhe pet nind nahi aayegi,
Tujhe bhi subah hone ka entejar rahega.

Mujhe pata hai tu nahi aayega
Muskurayega aur kahega

Tu insan hai,dhoka hai 
Mere sath to hazaro tare hai.

Pathar ke bhagwan mile
Pathar ka insan mila
Ram ke raho par Ravan ban gya
Ab kitne chehre hai insan ke?

Fir subah huyi,dekha to gila takiya bhi sukh chuka tha
Pichali raat ke bato me kya rakha hai??
Lawarish zindgi tu kab samjhega
Suraj bhi kahi na kahi bhujega.

Thursday 7 June 2012

"Kismat"



Kismat ke aage aajtak kiska chala hai

Ye nahi dekhta kon garib aur paise wala hai




Kbhi aashiyana bana deta hai kbhi ujad deta hai

Khusiyo ki saugat aur maut ke manjar bhi dikhata hai