Sunday 28 October 2012

"Agle janam mohe bitiya na kijo"



Sunoge ek kavita ya sunau tujhe ek kahani
Dekh lo duniya ki riwayat ya samjhe ese ghar ki kahani

---------------------------------------------------------------------

Ek gaun me masum si chanchal ladki thi
5 waras ki hone hi chali thi
School jane ki taiyari kar rahi thi
Mammy chooti bandh rahi thi
Mammy ki pallu se chipak jati thi
Jab pahli bar school gayi thi
Sayad pencil le jana bhul gyi thi
Tiffin me chocolate le jati thi
Pink dress pahne thi
Aankho me kajal sajayi thi
Chidiya ke jaise fudakti thi
Gili mitti par fisalti thi
Kagaj ke naw banati thi
Gude gudiya ki vivah rachati thi
Mammy se darti thi
Daddy ki wo angel thi

-----------------------------------------------------------------------

Ab ghar se dur ho chali thi
Dur kisi sahar me MBA karne gayi thi
Kagaj par kuch sandesh likhti thi
Khidki ke bahar fekti thi
Shaam 5 bje coffee shop me wait karti thi
Narajgi se bar bar ghadi dekhti thi
Wo aa gya to najre chura li thi
Fir jamkar fatkar lagayi thi

-----------------------------------------------------------------------

Degree milte hi ghar laut gayi thi
Rote rote pyar ki bat batayi thi
Ghar me jab shaadi ki charcha hone lagi thi
Us ladke se pyar kar baithi thi
Ghar se muh mod chuki thi

-----------------------------------------------------------------------

Ab rut aa gyi thi kahi dur thikana tha
Sahnayi baj rahi thi,Dusre aangan me jana tha
Shaam ko movie,Raat ko candle light dinner hota tha
List banati thi,Husban bazar se saman lata tha
Bahut khush rahti thi,Swarg ke sunder ghar mila tha
Sab ne mithayi khayi jab naya mehman aane wala tha

-----------------------------------------------------------------------

Sach hi kahi thi mammy ne ek baat ko samjh lo
khusiya chaar dino ki chandni hoti hai
Ab apne ho log naraj ho gye hai
Jab se beti aane ki khabar mili hai

-----------------------------------------------------------------------

Na jane aaj kyu purane din yaad aa gye
Jab TV par "Satyamev Jayte" dekha hai
Ek bachi ki khamosh cheekhe sunayi dene lagi
Ek galti ka ahsaas aaj fir huaa hai
Bhari kadmo se kamre me gayi
Jaha doctor ka report almari me rakha hai
"Abortion Sussessful" padhkar aaj fir sadma laga hai
Khada hone ki himmat nahi,Aansu ruk na rahi
Ek ladki hone ka kitna bada jurmana laga hai


Monday 8 October 2012

"Hamse Pucha"



Karwat badalte raat ne hamse pucha
Chand ab badal me chup gya,usme kya dekhte ho

Miane ishara karte huye bola,Jo chand mera hota
To bhala tum sukun se nahi gujarti?

Dhundhli si chadar failaye shaam ne hamse pucha
Chidiya bhi ghosle me laut rahe,tum kiska intejar karte ho

Maine sard lahze me bola, Jo nazara hasin hota
To bhala meri tanhayi mujhse guftgu kyu karti?

Kuch sukhe huye gulab ne hamse pucha
Ab to khusbu bhi nahi aati, Fir kyu haule se chute ho

Maine rundhe gale se bola,Jo hoti taza khili
To bhala meri duniya khubsurat nahi hoti?

Andhere me chamakte jugnu ne hamse pucha
Meri roshni se mandil ka diya bhi nahi jalta fir tum kyu jalte ho

Maine berukhi se etana hi kaha,Jo mili hoti roshni mujhe
To bhala zindgi ki har subah raat kyu lagti?

Garajte baraste kajal ke jaise badal ne hamse pucha
Mai to zamin ke liye barasta hun, Tum kiske liye rote ho

Maine bhinge palke chupa kar jabab diya,Jo hota ab ke baras wo sawan
To bhala mere aansu khidki par kyu bikhri hoti?

Kuch purane dhul se lipti khat ne hamse pucha
Kuch wade,nek irade aur purani wafa me kya dhundhte ho

Maine khamoshi se jabab diya,Jo sach hoti bate fir khamoshi ni hoti
To bhala wo kagaj rakh me badali kyu hoti?

Sar se pawn tak dhaka kafan ne hamse pucha
Aisa bhi kya gila thi zindgi se,Apne se kyu bichar aaye ho

Maine ab kya bolna tha, Kisi se kyu shikayat karna tha
To bhala dokhaj kyu milti,Zannat ko dundhti thi zindgi?