Monday 8 October 2012

"Hamse Pucha"



Karwat badalte raat ne hamse pucha
Chand ab badal me chup gya,usme kya dekhte ho

Miane ishara karte huye bola,Jo chand mera hota
To bhala tum sukun se nahi gujarti?

Dhundhli si chadar failaye shaam ne hamse pucha
Chidiya bhi ghosle me laut rahe,tum kiska intejar karte ho

Maine sard lahze me bola, Jo nazara hasin hota
To bhala meri tanhayi mujhse guftgu kyu karti?

Kuch sukhe huye gulab ne hamse pucha
Ab to khusbu bhi nahi aati, Fir kyu haule se chute ho

Maine rundhe gale se bola,Jo hoti taza khili
To bhala meri duniya khubsurat nahi hoti?

Andhere me chamakte jugnu ne hamse pucha
Meri roshni se mandil ka diya bhi nahi jalta fir tum kyu jalte ho

Maine berukhi se etana hi kaha,Jo mili hoti roshni mujhe
To bhala zindgi ki har subah raat kyu lagti?

Garajte baraste kajal ke jaise badal ne hamse pucha
Mai to zamin ke liye barasta hun, Tum kiske liye rote ho

Maine bhinge palke chupa kar jabab diya,Jo hota ab ke baras wo sawan
To bhala mere aansu khidki par kyu bikhri hoti?

Kuch purane dhul se lipti khat ne hamse pucha
Kuch wade,nek irade aur purani wafa me kya dhundhte ho

Maine khamoshi se jabab diya,Jo sach hoti bate fir khamoshi ni hoti
To bhala wo kagaj rakh me badali kyu hoti?

Sar se pawn tak dhaka kafan ne hamse pucha
Aisa bhi kya gila thi zindgi se,Apne se kyu bichar aaye ho

Maine ab kya bolna tha, Kisi se kyu shikayat karna tha
To bhala dokhaj kyu milti,Zannat ko dundhti thi zindgi?


 

No comments:

Post a Comment